Topics
Nazer lagna eik eisa amal hey jeis se inkaar mumkin nahin hey.Nazer
baron,choton aur jaanwaron ko bhi lag jati hey.Aur eis ke mukhtalif asraat muratib
hotey hain.Masalan yeh ke keisi larki ko nazer lag jaye aur eis ki shadi na
ho.Keisi mard ko nazer lag jaye aur us ka dimaagh mutaasir ho jaye aur sochney
samhajney ki salahiyatein kam ho jayein.Aur eis ki aam zindagi ke muamalaat
mein khalal waqey ho jaye.
Doodh deney waley
jzanwer ager nazer e bad ka shikaar ho jayein to woh doodh dena chaur dey tey hain
ya doodh ke bijaye thanoo mein se khoon anney lagta hey.Ya doodh mein makhan
kam ho jata hey.
A.Aisey sooraat mein ke larkiyoon ke reishtey aatey hon aur nazer
ki waja se tey na hotey hoon to larki ki waalidah ya khod larki alhumdo shareef
الحمدُ شریف eis tarhan parhein ke jab اِیَاكَ نَعْبُدُ وَ اِیَا كَ نَسْتَعِیْنْ ؕ per puhunchney to eis
ayat ko 11 bar parh ker surah pauri karein.Eisi tarhan surah parhey aur her
baar pani per dam karey.Aur yeh pani ghoont mein lardki ko pilaa deiya jaye ya
lardki khod amal ker ke pee lein. Amal ki muddat chalees roz hey.
B. Shaadi mein rukawat ke ilaawah nazer utaarney ka tareeqa yeh hey ke munderja zail taaweez likh ker chand mint, sir per rakhein phir jala dein.Eik taaweez se nazr bad ka aser poori tarhan khatam na
ho to teen taaweez kafi hain.C.Janwer per se nazer bad khatam
karney ke liye yehi naksh berry ki lakrdi ya keisi aisi lakrdi jeis mein badboo
na ho mutaasirah jaanwer ke galey mein daal dein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.