Topics
Kitaab ke shiroo mein dafa-e-aseib ke liye faleetey jalaney ke amal se elaaj tajweez kiya gaya hey.Eis silsiley mein be shumaar khatoot mosool hooey hain jin mein yeh likha gaya hey ke faleetoon ke sath koyee naksh bhi hona chahiye.Naksh yeh hey.
Yeh taaweez keisi moomi kaghaz per likh ker moom jama ker ke mareez ke galey mein daal dein
jumeraat ke rooz aser ke baad suraj ghuroob honey se pehley taaweez ko kaprey
ke khol se nikaley baghair lobaan ki dhooni dein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.