Topics
Ager kad kam reh jaye aur eis mein izaafa maksood ho to.Zardey ke rang aur arq-e-gulab se 3teen platon per likh ker eik plate subha nihaar moonh,eik aser ke baad aur eik raat ko sotey waqt pani se dho ker 6 maah tak piyein.
Eis ke alawah 24chobees ghantey mein kam se kam 12barah ghantey
letney ke prograam per amal karein.Letetey waqt eis baat ka khayaal rakha jaye
ke taangein kaman ki tarhan na hon balkey seedhi rahein.Sirhaney nisbatan ooncha
rakhein,taakey dauraan e khoon peiron ki taraf ziyadah rahey.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.