Topics

AYYAM KI BE TARBIYATI.

Ayyam ki be tarbiyati se aurton mein bohat se amraaz peida ho jatey hain.Nalon mein dhukan ho jati hey,pate barda ho jata hey aur mukararah ayyam se pehley shadeed dard ki khehfiyat se do  chaar hona parta hey.Yeh bhi dekha gaya hey ke ager ayyam saheeh waqt aur poori muddat tak na ho to aurton ke chehrey per baal nikal aatey hain.Be tarbiyati ki shikayat ager pooranni ho jaye aur mareez ki hesiyat ikhtiyaar ker ley to reham mein wararm aa jata hey jeis ki

waja se aurtein tauleed ke kabil nahi rehtein.Eis ka aser rang o roop per bhi parta hey aur jeism phoolna shiroo ho jata hey.Khoon galeez aur garaha ho sakhta hey aur dard aur aaza shikni ka arzoo bhi la haq ho sakti hey.Ager “nizaam-e-ayyam” aheista aheista kam ho ker umer se pehley bilkol band ho jaye to aurton ke ander mardana khososiyaat peida hotey hoyey bhi dekhee gayee.

Jeis tarhan khana khanay aur pani peeney ke baad fitry toaur per bol o baraz ka hona zaroorat hey eisi tarhan “mahwaari”bhi aurton ki sehet ke liye lazmi hey.Eis ke liye eik taaweez likha ja raha hey.Eis taaweez mein beismillah shareef likhna mana hey.

 

Ayyam ki be tarbiyaatti mein ager kamar mein dard ho to yeh taaweez pusht per eis tarhan bandhein ke taaweez reerh ki hadi ke aakhri jaur se choota hey.Nalon mein dukhan ho to yeh taaweez naaf ke ooper bandhein.

 (note:taaweez ko dhagey mein bandha jaye jeis ka rang beganni ya jamni ho.Kaprda ya keisi keism ki patti eistemaal na ki jaye)

 

Nahaney ki zaraoot ya rafa e hajat ke waqt bhi yeh taaweez jeism se alag na karein.Taaweez ko mom jama ker liya jaye takey pani parhney se taaweez ke ooper likhey howey naksh kharab na hoon.Taaweez yeh hai.


Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.