Spiritual Healing

ZEHN KA MAOOF HONA

Mustaqil zehni dabao,asaabi kashakash ya aur keisi waja se ager zehan maoof rehta hey ya koi baat samajh mein na aati ho,dimaaghi ya jeismani kaam kartey waqt zehan sath na deta ho,esi soorat mein kali roshni se lobaan ke bohat chotey chotey tukrey per no 9 ke hindsey likhey jayein aur lobaan ke tukron ko dehaqhatey hooye koeylon per daal ker dhooni ki tarhan sulgayein.

Yeh amal esi jaga karna chahiyeh jahan mareez ke alawa koi aur shaks na ho.Eis ke liye raat ka waqt nihayat moozoon hey.Dhooni leney ke baad muraqba karein yani aankhein band ker ke apney dil ke ander dekhein.Muraqba pandrah minute tak kiya jaye.Eis amal se zehan mein aisi roshniyaan muntakil honey lagti hain jin se masayil ka hal asani se samajh mein aa jata hey aur zehan ke ander halaat o masail ka muqabla karney ke taaqat peida ho jati hey.

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.