Spiritual Healing

MIRGHI KA DOURAH.

Kabhi kabhi khayalaat mein itnaa hajoom ho jata hey ke dimaagh ki who salahiyat jo khayaalaat ko taqseem karti hey mutaasir ho jati hey.Ager aisee haalat mein paani samney aa jaye to dimaagh kam karna chaur deta hey aur mirghi ka dauraah parh jata hey.Jab tak khayaalat ka hajoom maamool se ziyadah rehta hey mareez be hosh rehta hey aur jab yeh hajoom muntashir ho jata hey to mareez ko hosh aa jata hey.Daureh se choonkey tamaam asaab maflooj ho jaatey hain eis liye harkat deir mein hoti hey.Eis ka waqti aur fauri elaaj yeh hey.

Mareez ke sir ko zameen se hath per sirf eik inch ooper uthaa liya jaye.Eis se ziyadah nahi 2do 3teen martabah sir ko halki junbish se hilaaya jaye.Daurah khatam ho jaye ga taahum ankhoon ki putliyon ki nigraani kuch deir tak karein taakey woh khaliyey jo hafizey se mutaaliq hain dekhney waaley ki nigahon se takraayein aur shaoor bahaal ho jaye.Mirghi ke marz ki eik shanaakht yeh bhi hey ke potliyaan apni jaga se kuch na kuch ooper ki taraf hat jati hain.

Mirghi ke mareez ka roohaniyat mein elaaj yeh hey ke 40chalees roz tak subha nihaar moonh eik plate per

اَلّْطُرُقُ النَّاسُ وَالْا جِنَّۃٌ وَالرُّوحُ اَلْعِبَادِ الصَّالِحِیْنَ فیِ الْکَوْنِ

Likh ker paani se dho ker pilayein aur saath hi eik barey kaghaz per likh ker sir se pair tak kaaghaz ko pooray jeism per malein.Kaghaz path jaye to dobaraah likh liya jaye.Doaraan  e elaaj eis baat ka khayaal rakha jaye ke mareez ko kabz ki shikaayat na ho.

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.