Spiritual Healing

Eistikaarah

Koi kam karney se pehley eistikarah karna sunnat hey.Eistakarah darasal AllahTallah se mashwarah karna hey.

“IFTAH IFTAH YA BAEEDO AL JAYEB BIL KHAIEI YA BAEEDO”

اِفْتَحْ اِفْتَحْ یَا بَدِیِعُ الْعَجَائِبِ  بِاالْخَیرِ یَا بَدِیِعُ

 21 martabah.Dorood khizri

“SAL ALLAHO TAALLAH ALLA HABIBE HI MUHAMMAD WA SALIM”

صَلَّ اللّٰہُ تَعَالیٰ عَلیٰ حَبِیبِہٖ مُحَمَّدِ وَّ سَلَّم

                Awal o akhir eik eik martabah parhiyey.Eis ke bad daanye(right) karwat let ker chehrey ke nichey daanye(right)  haath ki hateli rakh kar so jayen. Sotey waqt jo baat maloom karni ho usey zehan mein dohrayein. Zayadah se zayadah 3teen ayam ke ander khuwa  b ya bedaari mein jo kuch maloom kya gaya hey munkashif ho jaye ga.

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.