Spiritual Healing
UM AL SUBIYAAN (SOOKHA)
Bachoon ka khouaab mein darna,zIyadah rona,cheekh cheekh ker rona.larazna,khood ko ya dosroon ko nochna,bagheir kisi waja ke baar baar bukhAar hona,kisi kism ki peidaeishi bemaari ya kamzori saheeh nash o numa na hona ya jism per se goosht khatam ho jana.Sookh ker kantey ki tarhan ho jana.Pani ki tarhan dast ana.Aur ankhon mein halkey ban jana.Yeh sab um al subiyaan ke marz ki alaamtein hain.
Eis se bachoon ko mehfooz rakhney ke liye momi kaghaz per
Likh ker mom jama ker ke asmani kaprey mein see ker galey mein daal
dein.Haftey mein eik baar kaprey ke khol se nikaley bagheir taaweez ko lobaan
ki dhooni zaroor dein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.