Spiritual Healing

ASAIB KA ELAAJ

Asaib eik aisa marz hey jo dimaagh se taluk rakhta hey eis ki ziyada ter wajah yeh hoti hey ke khoon mein mithaas ki nisbat namaak ki miqdar barh jati hey.

             Yeh khoon sarey jeism mein se dor kar ke jab dimagh ke do kharab khaliyoon mein gardish karta hey to dimaagh ke who khaliyey jo insaan ke ander shaoori hawas banatey hain who muntashir ho jatey hain.Natijey mein mareez kandhon per wazan mehsoos karney lagta hey aur eis ki nazroon ke samney aisi cheezein ya soortein   aaney lagti hain jin ko yeh samajh nahi sakta aur na in ka apas mein rabta ya taluk qaim rakh sakta hey.Maslan yeh ke esey keisi aurat ya mard ka heyolaa nazr ata hey choonkey eis tarhan ghyeb mein dekh na eis ki aadat nahin hey es liye who khauf zada hojata hey aur aisi harkatein karney lagta hey jo shaoori hadood se baher hoti hain baaz auqat yeh taasur itna ghera hota hey ke shaoor mein taattol waqey ho jata hey aur eis ke hawas la-shaoori tehrikat ke taabey ho jate hain.Ab who koi baat zameen ki kehta hey koi asmaan ki kabhi behosh ho jata hey aur khod ba khod hosh mein ajata hey.Kabhi be baat hasta hey aur kabhi kisi wajah ke baghier roney lagta hey.Yeh bhi hota hey ke bathki hoyee roohain jin ki tabiyat mein takhreeb hoti hey

 marnay ke bad aisey logoon ki talaash mein rehti hain jo dimaghi aitbaar se kamzor hon aur jab inhey apni takhreeb kari ke liye aisa shikar mil jata hey to woh eiske samney ajati hain eis ke shaoor ko moatal kar deti hey.Eis ka ilaaj yeh hey ke eik kaghaz per


Likh ker kaghaz ko mordh(fold) kar batee(role) bana lein.Eis mordey hooey kaghaz ko rooyee(cotton) mein lapeit lein.Rooyee(cotton) aur kaghaz ki bani hoi batee ko ghee ya zeytoon(olive) ke teil(oil) mein aisee jaga jalaein jahan se mareez tak doohaan(smoke) pohanch sake yeh amal raat ko sotey waqt karna chahiye.Sobha soorajh nikalney se pehley “kol aozoobo bil rabil falkh”.poori soraa parh ker eik piyaali pani per dam kar ke nihar monh(before breakfast) pilain.Do hafte tak namak bilkol na dein.Do hafte ke baad namak kam se kam miqdar mein eistamaal karain teen waqt khaalis shehed(pure honey) ka eistemaal bhi bohat zaroori hey.

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.