Spiritual Healing
Aamel hazrat kisi
amal ki taqrar kar ke apne dimagh ko bar bar harkat detey hain.Yahan tak ke who
iradey per kaboo paa letey hain.Mashq ke zariyey inki maharat jitni barhti hey esi
kadr in ko qoowat e iradi ke zariyey kam leney mein asaani ho jati hey.es qism
ke admi az-rooye jibillat bhi peida hotey hain.In ki tabiyat khood ba khood rohaniyat
ki tarf maayel ho jati hey aur shiroo umar se in chezoon ko samjhey baghair bar
bar eistemall karte hain.Pehley se innhey yeh ilm nahi hota ke hamarey ander
yeh uftad e taba mojood hey balkey es qoowat ke bar bar estemal se jo who mehaz
tafreehan kartey hain,kamyabi honey lagti hey aheista aheista un per yeh raaz
munkashif ho jata hey ke khayal aur
iradey se kam liya ja sakta hey.
Jab who es per amal karytey hain aur bar bar es ko doharatey hain aur
nataeja hasb-e-dil khuwa peida hotey hain
to who khud ko aamel samajhney lagtey hain.Log bhi inhey AAMEL ke naam se pokartey
hain.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.