Topics

Wudu Aur Science

Scienci tajarbaat se yeh baat saabit ho chuki hai ke nabataat, jamadat, hewanat aur insani zindagi aik barqi nizaam ke tehat rawan dawaan hai. Insani jism se haasil honay wali bijli ki taaqat aik torch ya jaibi radio chalanay ke liye kaafi hai. Tahaqeeq se saabit huwake kisi darakht ke pattay par makhi baith kar is ke reshon ko harkat deti hai to is pattay mein barqi ro dornay lagti hai .

Arastoo ne bataya hai ke taar pedo ( torpedo ) machhli apni barqi qowat se ensaan ko chonka sakti hai. Apni khoraak haasil karne ke liye rait mein choup jati hai aur jab machhliyan paas aati hain to apne andar kaam karne wali barqi ro se inhen behosh kar deti hai .

1885 ka waqea hai ke Adberg mein aik siyah larka paaya gaya jis ke jism par ungli chhoo jany se bijli ka current mehsoos hota tha. Is larke ki aam numaish hui. Dr johnson ne is ko apne paas mulazim rakh liya aur is par tajarbaat kiye. Unhon ne dekha ke is larke ke sir ke nazdeek khaas kar zabaan chone se ziyada zor ka dhaka mehsoos hota hai. Dr stone aur bohat se mahireen barq-e ne usay dekha to herat se un ke mun khulay ke khulay reh gaye. Dr ae w milton, Africa ke mashhoor sayah ka bayan hai ke unhon ne gussa mein aik negro ko maarna shuru kar diya to dekha ke jahan jahan kora is ke jism par laga to wahan se bijli ke sharare niklay. Yeh bhi saabit ho chuka hai ke ensaan ke jism mein soi chuboney aur garam o sard pani mein bhigonay se aik halki barqi ro peda hoti hai. Mamooli aawaz, roshni, zayega aur boo ke ehsasat se bhi insani jism mein barqi ro peda hoti hai .

Qudrat ka yeh ajeeb sar basta raaz hai ke ensaan ke andar bijli peda hoti rehti hai aur poooray jism mein se doori kar ke peeron ke zariye arth ho jati hai .

Namaz ke liye wudu karna zurori hai. Is ki wajah yeh hai ke jab koi bandah wudu ki niyat karta hai to roshiniyon ka bahao aik aam dagar se hatt kar apni raah tabdeel kar laita hai. Wudu karne ke sath sath hamaray aaza mein se brqie nikaltay rehtay hain. Aur is amal se azaye jismani ko aik nai taaqat aur qowat haasil hoti hai .

Huzoor Akrm Sale Allah Aleh O Slim ka irshad hai :

'' be shak bandah jab wudu kar le aur achi terhan kar le phir namaz k y liye khara ho jaye to Allah is ki janib tavajja farmata hai, is se sargoshi farmata hai aur is ki janib se tavajja nahi pherte jab taq ke woh shakhs khud apni tavajja phair le dayen baen tavajja kar le.”

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman Urdu

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .