Topics

Hazrat Ali Ki Namaz

Hazrat Ali karam Allah Wijh jab namaz ka iradah karte to Aap ke badan par larzah taari ho jata tha aur chehray ka rang badal jata tha. Aap farmaya karte they “ is amanat ko uthany ka waqt aan pouncha hai jisay asmano aur zameen ke samnay paish kya gaya lekin woh usay uthany ki himmat nah kar sakay.”

Hazrat Ali ki Raan mein aik teer laga aur are paar ho gaya. Jab teer nikaalte ki koshish ki gayi to Aap ko bohat takleef mehsoos hui. Kisi sahabi ne mahswara diya ke teer is waqt nikala jaye jab Aap namaz mein hon. Chunancha Aap ne namaz ki niyat baandhi aur is hadd taq yaksu ho gaye ke gird o paish ki koi khabar nah rahi. Teer ko nihayat aasani ke sath nikaal kar marham patti kar di gayi aur Aap ko takleef ka qatan ehsas nah huwa 

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman Urdu

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .