Topics

Seeneh Ke Amraaz

Namaz ke ekhtataam par hum salam phertey hain. Gardan phairnay ke amal se gardan ke azlaat ko taaqat millti hai aur woh amraaz jin ka talluq un azlaat se hai, la-haq nahi hotay aur ensaan hashash bashaash aur tawana rehta hai neez seenah aur hansali ka dheela pan khatam ho jata hai, seenah chaura aur bara ho jata hai. En sab warzishon ka faida is waqt pohanchana hai jab hum namaz poori tavajja aur dil jamee aur is ke poooray aadaab ke sath ada karen aur jald baazi se kaam nah len .

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman Urdu

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .