Topics

Ehsas Bartari

Jin logon ke andar ehsas bartari ziyada hota hai woh dil ke sakht hotay hain. Dosaron ko takleef mein dekh kar khush hotay hain aur khud ko dosaron se buland martaba samajte hain. Ziyada tar to yeh hota hai ke aisay log is burii aadat ko buraiee nahi samajte aur woh buraiee ke is khoal mein band rehna chahtay hain lekin kuch log is buraiee ko jab mehsoos kar letay hain to is se rstgari chahtay hain. Aisay logon ko chahiye ke woh ziyada se ziyada Ya tawaab یَا تَوَّابُ ka vird karen. Is ism ka vird karnay wala bandah reham dil hota hai aur logon par meharbani karta hai .
Duniya aur akhirat mein mukafaat amal ka qanoon raaij hai. Jo jaissa karta hai is ke samnay der ya sawair zaroor aata hai. Allah taala badla lainay ki qudrat rakhtay hain lekin maaf karna un ki aadat hai. Allah ki is sunnat par amal karte hue hum sab ko chahiye ke logon ki khataon ko maaf kar den aur agar kisi terhan gussa khatam nah ho aur intiqam ki aag thandhi nah ho to wudu baghair wudu uthte baithtay, chaltay phirtay saat roz taq
یَا مُنْتَقِمُ ka vird karen .

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman Urdu

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .