Topics

Peiron Ka Maseh Karna Ya Dhona

Jaissa ke hum bta chuke hain ke dimagh it-tila-aat qubool karta hai aur yeh it-tila-aat lehron ke zariye muntaqil hoti hain. Ittila ki har lehar aik wujood rakhti hai. Wujood ka matlab mutharrak rehna hai. Qanoon yeh hai ke roshni ho ya pani is ke liye bahao zurori hai aur bahao ke liye zurori hai ke is ka koi Mazhar banay aur woh kharch ho. Jab koi bandah paiir dhota hai to zayed roshiniyon ka hajhoom ( poison ) peeron ke zariye arth ( earth ) ho jata hai aur jism insani zahreeley madon se mehfooz rehta hai .

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman Urdu

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .