Topics

Namaz Ke Masail

Namaz qaim karne se pehlay saat baatein poori karna zurori hain. Un saat baton ko sharait namaz kaha jata hai .

1.Badan ka pak hona

2.Namaz ka waqt hona

3. Jagah pak hona

4. Mard ko naaf se ghutnon taq aur aurton ko mun, haath aur peeron ke ilawa sara badan aur sir ke baal dhanpna

5. Kapray pak hona

6. Qibla ki taraf mun karna

7. Namaz ke liye niyat karna

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman Urdu

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .