Topics
Es se pehlay
mein ne jo kuch bhi likha, likhte hue mere samnay umooman barray huaa karte
they. Yeh to nahi kaha ja sakta ke mein ne jo kuch likha usay bachay nahi parh sakte.
Is ko bilashuba bachay barray sab hi parhte hain lekin bachon ki apni aik
duniya hoti hai aur aaj mein aap ki duniya ka maheman ban kar aap se mukhatib
hoon.
Aap ne dekha ho ga ke bachay aur bhooray jab aik jagah jama hotay hain to bhooray
bhi bachay ban jatay hain. Aap ne yeh bhi suna ho ga ke bhooray aur bachay
barabar hotay hain. Woh saari harkatein jo bachay karte hain woh hi harkatein
barray abba ya barri amma bhi karne lagti hain. Maslan dada ghora ban jatay
hain aur pota un ki kamar par sawaar ho jata hai. Jis terhan ghoray ki lagaam
pakar kar ghoray ko idher udhar dorhaya jata hai. Potay sahib apne dada ke kaan pakar kar un ke sir ko idher
udhar ghumate hain.
Yeh dada aur potay ka talluq bhi ajeeb hota hai aur is ko isi waqt samjha ja
sakta hai jab koi bacha khud dada ban jata hai. Aap yun samjhain ke aap ke
walidain meri aulaad ke barabar hain to is rishte se mein aap ka dada huaa aur
aap mere potay. Ab jo baatein mein aap se karoon ga woh dada potay wali baatein
hon gi. Mera khayaal hai ke baat karne se pehlay kisi nah kisi mauzo ka
intikhab zaroor kar lena chahiye. Is se nah sirf baatein samajhney mein aasani
hoti hai balkay guftagu karte waqt zehan bhi yaksu rehta hai. Aap ne dekha hai
ke jab hum taleem haasil karne school jatay hain to apni classon mein mukhtalif
mazameen parhte hain jaisay islamyat, geographiya, tareekh, muashiaat, physics,
chemistry waghera aur phir har mazmoon mukhtalif mozuaat ke hawalay se parhaya
jata hai. Mauzo allag allag honay se aadmi ke zehan mein naye naye Uloom
muntaqil hotay hain. To bhae aaj hum bhi baatein karne ke liye kuch mozuaat
chunn letay hain.
Pyarey Bachcho !
Hamara pehla mauzo hai” Bachay Aur Walidain” yani bachay aur maa baap.
Hamara dosra mauzo hai” Insaan Aur Hewan”.
Hamara teesra mauzo hai ke
“Hum Is Duniya Mein Kyun Aeye? Hamein Yahan Kab Taq Rehna Hai. Kya Hum Is Duniya Mein Mustaqil Rehne Ke Liye Aeye Hain Ya Hamein Yahan Se Kisi Doosri Duniya Mein Chalay Jana Hai.”