Topics
Mah
e Ramadaan jis mein nazil hua Quran jis mein hidaayat hey.
Logon
ke wastey aur raah panay ki khuli nishanain hein. (Al Quran)
Aayat
muqaddisa hamein is taffakur ki dawat deti hey ke nuzool Quran mein ramadaan ka
tazkara kyun kya gaya hey? Jabkey Vahi Ramadaan ke ilawa bhi nazil hoti rahi hey.
Yeh talaash karna bhi zaroori hey ke Ramadaan al Mubarak aur aam dinon mein kya
farq hey, aur ramadaan mein insani tasawurat aur ehsasat mein kya tabdeeli roonuma
ho jaati hey?
Ramadaan
al Mubarak se mutaliq is ruku mein Allah Tallah ka irshad hey:
Tarjuma
“Aur jab tujh se poucheen bande mere mujh ko toh mein nazdeek hon” Pohanchana
hon pukarte ki pukaar ko jis waqt mujh ko pukaarta hey.”
Aayat
karimah hamein batati hey ke bande aur Allah ke darmiyan kisi qism ka koi
faasla haail nahi hey. Quran ke irshad ke mutabiq kaayenaat mein har shye do
rukh par qaim hey.
وَمِنْ
کُلِّ شَئٍ خَلَقْنَا زَوجَینِ لَعَلَّکُم تَذَکَّرُونْ
''Aur har cheez ke banaye hum ne jore, shayad tum dheyan karo.”
Insani
hawaas ke bhi do rukh hein. Aik rukh yeh hey ke insaan hamesha –apne aap ko
paband aur muqeed mehsoos karta hey aur dosra rukh woh hey ke jahan insaan qaid
o band se azad hey. Qaid o band mein hamaray andar jo hawaas kaam karte hein
woh hamesha asfal zindagi ki taraf mutwajjah rehne par majboor karte hein. Un
hawaas ki har harkat hamari zindagi ko kari dar kari zanjeer ki terhan pabndِ salasil kiye hue hey. Zindagi naam hey taqazoon
ka, yeh taqazey hi hamaray andar hawaas banatey hein. Bhook, pyaas, jins, zehni
tayush, aik dosray se baat karne ki khwahish, aapas ka mil jol aur hazaron
qisam ki dlchaspiyan yeh sab taqazey hein aur un taqazoon ka dar-o-madar hawaas
par hey. Hawaas agar taqazey qubool kar lete hein toh yeh taqazey hawaas ke
andar jazb hokar hamein mazahirati khadd-o-khaal ka ilm
bakhshte hein. Aam dinon mein hamari dlchaspiyan mazahir ke sath ziyada rehti
hein. Khana, piinaa, sona, jagna, aaraam karna, hsolِ
muaash mein jad-o-jehad karna aur dunyawi dosray mashaghil sab ke sab mazahir
hein.
Aam dinon ke bar aks roza hamein aisay nuqtey par le aata hey jahan se mazahir
ki nafi shuru hoti hey. Maslan waqt e muayana tak zahiri hawaas se tawajah hata
kar zehen ko is baat par amaada karna ke zahiri hawaas ke ilawa aur bhi hawaas
hamarey andar mojood hein jo hamein azad duniya (ghaib ki duniya) se roshanaas
karte hein. Roza zindagi mein kaam karne walay zahiri hawaas par zarb laga kar
un ko moattal kardaita hey. Bhook pyaas par control, guftagu mein ehthiyat,
neend mein kami aur chobees ghantey kisi nah kisi terhan se yeh koshish ki jati
hey ke mazahir ki girift se nikal kar ghaib mein safar kya jaye.
Ramadaan al Mubarak ka poora maheena darasal aik programme hey. Is baat se
mutaliq ke insaan apni rooh aur ghaib se muta-arif hojaye.
Allah
Taalah ne irshad farmaya ke:
''
Hum ne utaara Shab e Qader mein. Aur toh kya boojha kya hey shab qader. Shab e
Qader? behtar hey hazaar mahinay se. Utartey hein farishtey aur rooh is mein
–apne rab ke hukum se, her kam par. Amaan hey woh raat subah ke niklny tak”
Allah Taalah ke farmaan ke mutabiq Lailatu Qader aik hazaar mahino ke din aur
raat ke hawaas se afzalhey. Is ko samajhney ke liye hum is terhan keh sakte
hein ke raat ke hawaas ki raftaar is raat mein (jo behtar hey hazaar mahino se
) saath hazaar guna barh jati hey kyunkey aik hazaar mahino mein tees hazaar
din aur tees hazaar raatain hoti hein .
Ramzan
ki das taarikh tak hamein is bat ki aadat ho jaati hey ke hum un hawaas ki
girift ko tor saken jo giyarah mahinay hamaray oopar musallat rahay hein.
Ramazan ke pehlay ashrey mein bhook, piyas, neend, guftagu mein ehtiat aur
Quran pa kaaf ki talawat se kaafi had tak zahiri hawas hamari girift mein ajate
hein. Mehaz Allah ki khush nudi ke liye poray din khana nah khana, shaded
taqazey ke bawujud pani nah peenay aur aftari-o-sehari ke darmiyan chand ghantey
soney se hamarey andar aik aisi taaqat peda ho jati hey jo hamein raat ke
hawaas aur rooh ke qareeb kar detihey. Dus (10) rozay rakhnay ke baad agar hum
koshish karen toh bohat aasani ke sath rooh ki Khaftah salahiyaton ko bedar kar
saktey hein .
ALLAH KI TAJALLI KA DEEDAAR KIJIEY-ROMAN
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI