Topics
Akhirat mein woh log kamyaab hunge
jo Allah ki makhlooq ke faiday aur aasani ke liye ayjadat karen. Makhlooq ko
tabah o barbaad karne wali ayjadat buray kaam hain aur Allah ki di hui
salahiyat aur wasail ka ghalat istemaal Allah taala ki nafarmani hai. Hazrat Aadam Aleh Salam ki aulaad ko duniya mein
achay aur buray kaam karne ka ikhtiyar diya gaya hai. Jo koi achay kaam karta
hai. Is se Allah taala khush hotay hain aur jo koi buray kaam karta hai is se
Allah taala khush nahi hotay .
Allah taala yeh chahtay hain ke Hazrat Aadam
Aleh Salam ki aulaad is zameen par achay aur naik kaam kere. Makhlooq ke liye
faiday ki cheezein banaye. Apna asal maqam jannat dobarah haasil kere aur is
ilm ko dobarah jaan le jis ki binaa par woh tamam makhloqaat se afizal aur unn par
haakim banaya gaya tha .
Jo ensaan apni rooh aur rooh ke aloom jaan laita hai woh zameen par Allah ka
naib aur hukmaran ban jata hai aur duniya ki tamam cheezein is ke tabay ho jati
hain .
Allah taala ne achay aur buray kaam samjhane ke liye aik laakh chobees hazaar
paighambar is duniya mein beje hain. Anbiaye allahum salam aur Allah ke doston
ne hamesha Allah se mohabbat aur aman ka pegham diya hai aur yeh bataya hai ke
duniya ki har Nemat Allah taala ne insanon ke liye banai hai taa ke woh behtareen
aur pur asayish zindagi guzaraian lekin duniya aur duniya ki zindagi ensaan ki
manzil nahi hai. Ensaan ko dobarah Allah ki taraf wapas jana hai .
Jo log sirf aur sirf duniya ko apni zindagi ka maqsad bana letay hain woh
duniya haasil karne ke bawajood be chain aur pareshan rehtay hain aur jo
dunyawi doulat ko Allah ki di hui Nemat samajh kar istemaal karte hain woh
khauf o gham se nijaat haasil kar letay hain aur Allah ke dost ban jatay hain .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Hamari yeh zameen neela aasman, roshan chamakdar
Sooraj , khobsorat chaand, jagmug tarre, ounchay ounchay pahar, barray barray
samandar, rang barang khushnuma phool, qisam qisam ke parinday, chopaye aur janwar,
jannat mein khobsorat baagh aur aalishaan mehal, hooren, farishtay, jaanat aur
ensaan. .. .. . Sab ko Allah taala ne banaya hai .