Spiritual Healing
Sawal : mein choti Umar mein aik
larke se mansoob kar di gayi thi. Saaray khandan walay bhi yeh baat jantay
they. Jab mein ne hosh sanbhala aur yeh baat mere kaan mein pari to khud-bakhud
mere dil mein un ke liye jagah peda ho gayi aur mein ne zehni tor par inhen
qubool kar liya kuch arsa pehlay baaz rishta daaron ne mukhalifana kirdaar ada
kar ke hum dono ke khandan ke darmain ikhtilaaf peda kar diya hai.
Jis ka nateeja yeh nikla hai ke ab hamari zindagi ke hamwar rastay mein yakayak
aisay kantay agg aeye hain jin mein se guzarna mushkil hai.
Soorat e haal yeh hai ke aana jana bhi mukammal band ho gaya hai. Zara tasawwur
kijiyej woh shakhs jisay mein ne hamesha apni zindagi ke saathi ki hesiyat di
aur jis ka tasawwur mere zehan mein poori terhan bas gaya hai woh kuch hi der
mein mere liye ajnabi kar diya gaya hai. Mein yeh sochti hon to un ki jagah
kisi aur ke lainay ka khayaal bhi sohan rooh ban jata hai. Larka barsar e
rozgar hai aur is ki bhi yahi khwahish hai ke hum dono bandhan mein bndh jayen
lekin khandan walon ke rawayya se dono majaboor hain. Azeemi Sahib! Is muamlay
mein shara mein sharam nahi hai. Mein aap se darkhwast karti hon ke mujhe aisa
amal bta den. Jis se mujhe mera haq mil jaye. Mein ne tahiya kar liya hai agar
meri shadi wahan nah hui to......
Jawab : esha ki namaz ke baad aik
so martaba ان
اللّٰہ علی کل شئی محیط muheet awwal aakhir gayarah gayarah bar
drood hareef ke sath parheen aur is wazifa ko chalees roz taq karen. Bilkul mutmaen
rahen. Insha Allah halaat aap ke haq mein sazgaar ho jayen ge.