Spiritual Healing
Sawal : mera bacha Mohammad
Kamraan jis ki Umar 3 saal hai. Intahi ziddi hai. Hum is ki har khwahish poori
karne ki koshish karte hain. Is ke bawajood woh apni har khwahish ke liye
intahaa pasandi ka muzahira karta hai. Is ki do adaten junoon ki hadd taq
pohanchi hain aik yeh ke woh har waqt bahar jana chahta hai. Ghar ka koi fard
is ke samnay ghar se niklny ki jurrat nahi kar sakta. Hadd yeh ke koi ghair bhi
bahar jana chahay to zid karta hai ke “mein bhi jaoon ga”darjanon khilonay is
waqt is ki khwahish ke samnay heech hain. Doosri baat yeh hai ke jo cheez is ko
achi lag jaye is ko apni bana dalta hai, kehta hai yeh cheez meri hai. Apne samnay
kisi ko koi ahmiyat nahi deta. Subah laazmi tor par rota hua uthta hai. Mukhtalif
frmayshin karta hai aik ki takmeel hoti hai to doosri tayyar hua karti hai. Is ki
ziddon ne usay intahi chirchira bana diya hai.
Isi binaa par intahi kamzor hai. Hamein is ki ziddon se nahi is ki kamzoree se
tashweesh hai. Wazeh rahay ke Mosoof har qisam ki dawa intahi aaraam se kha
jatay hain.
Jawab : aap apne bacha ke sath
dosti nahi, dushmani kar rahay hain. Aap ne is ki har khwahish ko poora kar ke
ziddi bana diya hai. Agar aap ki yeh rawish nah badli to woh zehni mareez ban
jaye ga. Aulaad ki tarbiyat walidain ke oopar farz hai. Be ja ziden aur ja be
ja tamam khuwaishe poori karna faraiz mein daakhil nahi hai. Bacha shaori tor
par wohi seekhta hai jo usay maa baap sikha dete hain. Ensaan ka shaoor do
akaeyo mein bana hua hota hai. Is ka nisf shaoor maa baap aur qareebi ahal
mohalla ke aamaal o harkaat aur tarz fikar se bantaa hai aur nisf par mahol ka
assar ghalib rehta hai, kitni ajeeb baat hai ke aap kehte hain”hamein is ki
ziddon se nahi kamzoree se tashweesh hai “yaad rkhye agar aap ne apni tarz
fikar ka muhasba kar ke is mein aitdaal peda nahi kya to aa p ko aik bacha ki
ghalat tarbiyat karne ka kkhuda k haan Jawab da hona parre ga. Aahista aahista pyar vmhbt
ke sath bacha ki tabiyat mein tabdeeli lana aap ka farz hai. Is farz mein
hargiz kotahi nah kijiyej. Abhi kuch nahi bigra, woh kachi lakri hai aap usay
bohat aasani se sudhaar satke hain. Rohani ilaaj tehreer hai is par amal
kijiyej aur aindah apni rawish fikar ko sahih khadd-o-khaal dijiye. Bacha raat
ke waqt jab gehri neend so jaye to is ke qareeb kharray ho kar aik hafta taq
ibaarat parhiye.”Kamraan tum bohat Saadat mand larke ho. Zid nahi karte. Tumhara
dimagh bohat sahet mand hai. Tamam baatein honahaar aur hooshiyar bachon ki
terhan sochte ho. Khailtay ho aur khush rehtay ho. “yeh ibaarat parhte waqt
agar bacha neend se beedar ho jaye to is waqt taq intzaar kijiyej jab taq ke
woh dobarah gehri neend so jaye.