Spiritual Healing
Sawal : meri behan ( sh ) jis ki
Umar 24 saal hai. Kaafi khobsorat aur daraaz qad hai. Woh pehli nazar mein
pasand kar li jati hai magar is ki purkashish soorat ne jo masla peda kya hai
woh kaafi aziat naak hai. Do teen shadi shuda mard bhi is ki taraf mutwajjah
hue aur shadi ke khawahish mand hue. Zahir hai ke shadi shuda se is ki shadi
mumkin nahi thi. Aik larka meri behan se shadi ka khawahish mand hua kyunkay
larke ki taleem kam hai aur zareya muaash bhi nahi hai. Sohbat bhi buray logo n
ki hai. Larke ke pas manzar ko dekhte hue munasib tareeqay se inkaar kar diya
chunkay yeh larki Umar bhar ka maamla tha magar woh larka aapay se bahar ho
gaya. Rozana nah jaane kin kin jaghon se phone kar ke is ne naak mein dam kya hua
hai. Ulti seedhi dhmkyan deta hai. Meri behan ne kabhi phone par baat nahi ki. Kehta
hai aghwaa kar a dun ga waghera waghera. Taa ke tum ruswa ho jao ( khandan ki
aik taqreeb mein is ki behan aur meri behan ki mushtarqa taswerain hain ) woh
is hawala se mukhtalif qisam ki khatarnaak aur ghalat dhmkyan deta hai. Is qisam
ki baton se izzat daar logon ko din raat kin aziyatoun se guzarna parta hai woh
aap samajh gay hon ge. Khud meri behan kis sorat e haal se dochar hai woh qabil
tehreer nahi. Mein ne ikhtisaar ke sath yeh soorat e haal bayan kar di hai. Buzurgon
ne aur ghar walon ne larke ko bohat samjhaya magar woh kisi soorat baz nahi
aata. Samajh len ke hamara gharana mout ke dahana par khara hai. Aap se
moudbana iltija hai ke aap koi aisa qurani wazifa tehreer farmaen ke meri behan
ki shadi behtar aur maqool jagah ho jaye aur is larke ko hadaayat naseeb ho ke
woh apne shaytani aur makrooh feal se baz aa jaye. Aindah woh kabhi phone
karne, khutoot likhnay ya dhmkyan dainay ki koshish nah kere aur hamein bhi
zehni o qalbi sukoon naseeb ho. Mujhe kkhuda ki zaat par yaqeen kaamil hai ke
woh hamein is mushkil se nijaat dilaiye ga. Mohtaram is dukhi beti ko mayoos
nah kijiyej ga aur koi aisa amal bitayen ke jis ko mein khud parhon kyunkay
behan mandarja baala wajohaat ki binaa par zehni paagandgi ka shikaar hai. Behan
ka kabhi bhi is ke sath koi talluq hargiz nahi raha kyunkay hamaray gharane
mein larkiyon ko mazhabi taleem di jati hai.
Jawab : ab hamara muashra is
qader ghinauna ho gaya hai ke ab shareef logon ka dam ghatney laga hai. Walidain
azaadi ke ghalat mafhuum se jab bachon ki tarbiyat karte hain to bachay gumraah
ho jatay hain. Shareef ghranon mein larkiyon ko telephone karna ab aik waba ki
soorat ikhtiyar kar gaya hai. Ab to mehakma tally phone bhi aajiz aa gaya hai. Qanoon
ko tahaffuz dainay walay idaray, muashra ke is ghnaone kirdaar se pareshan hain.
Mein ne is silsila mein bohat ghhor kya hai. Meri samajh mein yeh baat aati hai
ke aisi harkat woh larke karte hain jo muashra mein koi maqam haasil nahi kar
sakay. Mehnat mazdoori ko kasar shaan samajte hain. Walidain ki doulat par
zindagi ki asaishen haasil karna chahtay hain bilashuba yeh log mental hotay
hain jo aadmi khud pagal hai jisay yeh bhi ehsas nahi ke is ki bhi behnain
hain. Is se aur kya tawaqqa kya ja sakti hai. Allah taala sab shareef khandano
ki hifazat farmaiye. Ameeen. Aap har namaz ke baad 100 baar Nasar mann allah o
fatah qareeb parh krdaa karen. Tally phone anay se aap khud ko kyun mujrim
mehsoos karti hain? Ab to yeh har teesray ya chouthay ghar ka masla ban gaya
hai aur log khoob jaan gay hain ke ghalat telephone karne walay larke ehsas
mehroomi ke maaray hue zehni mareez hain.