Spiritual Healing

Wazifa Ki Rajat

Sawal   : meri ammi jaan ki Umar pachaas baras se ziyada hai. Pata nahi un ko konsi bemari la-haq hai. Khana piinaa taqreeban band hai. Is bemari ki wajah se woh baatein bohat karti hain. Kabhi kehti hain ke mujhe churail chimti hui hai kabhi kehti hain ke jin mere andar halool gir gaya hai. Aksar peeron faqeero ka naam layte rehti hain ke aaj falan paiir sahib aeye hain aaj falan faqeer sahib ayen ge. Hamaray liye ziyada pareshan kin baat yeh hai ke woh aksar tulu aftaab se pehlay kamray se nikal jati hain. Barri mushkil se dhoond kar laatay hain. Bachpan se mein yeh marz daikhta chala aa raha hon, kkhuda ke liye bitayen ke kya marz hai.


Jawab  : aap ki walida sahibaa ne kisi ki nigrani ke baghair koi wazifa parha tha. Is wazifay ki rajat ho gayi thi jis ka ilaaj nahi ho saka.
Yahi arz hai, meri dua hai ke Allah taala inhen sahet ataa farmaiye. Koi wazifa kisi Rohani ensaan ki nigrani ke baghair nahi parhna chahiye aur ziyada wazaif parhnay se bhi guraiz karna chahiye. Ziyada wazaif aur vird se zehni, jismani aur muashi halaat kharab ho jatay hain.
Har ism aur har aayat aur har surah mein aik khaas taaqat, energy hoti hai. Ensaan ke andar taaqat aur energy zakheera honay ke baad jab taaqat ka tawazun baggar jata hai. To terhan terhan ki bemariyan aur pareshaaniya peda ho jati hain. Quran pak ki taaqat ke baray mein Allah taala farmatay hain. Agar hum quran ko pahoron par nazil kar dete hain to pahar rezah rezah ho jatay. Quran pak ki ayaat mein agar tafakar kya jaye to taaqat ka tawazun bahaal rehta hai.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI