Spiritual Healing
Sawal : masla meri behan ka hai. Barri
behan ki shadi mamu ke larke se hui hai. Pehla beta jo shadi ke 9 mahinay baad hua
tha. Taqreeban 9 mahinay zindah raha. Is arsa mein nah is ki gardan snbhli thi
aur nah hi woh normal bachon ki terhan mutwajjah hota tha. Balkay oopar daikhta
rehta tha. Meri behan aur behnoi ne duniya Jahan ke doctoron ko dekhaya sab ne
yahi kaha ke bacha bilkul theek hai. Is ke baad baji ki doosri beti bilkul
theek hai. Magar ab un ki teesri beti jo ab aik saal ki honay wali hai is ke
sath phir wohi betay wala masla hai ke nah to woh mutwajjah hoti hai aur nah is
ki gardan bachon ki terhan hai aur tamam dr kehte hain ke yeh bilkul normal hai
magar sust hai aur har kaam deray se kere gi. Magar Azeemi Sahib! Baaz auqaat
woh bohat roti hai aur saans khech kar aik dam sakht aur niilii ho jati hai. Dr
hazraat usay fits ( fits ) ki dawa dete hain.
Jawab : gilaay mein umm subyan ka taveez daal den. Umm subyan ka taveez yeh hai
roghan surnjan talkh, bachay ki kamar mein poori reerh ki haddi par
aahista aahista dairon mein maalish karen. Niilii shu-aon ka tail gardan ke
poooray joor par dairon par maalish karen. Maalish dhoop mein luta kar ki jaye.
Paseena anay par bacha ko kapray ya kambal mein lapait den taa ke hua nah
lagey. Subah shaam shehad chatanien shehad ke oopar aik martaba surah Fatiha
parh kar dam kar diya karen. Baar baar bacha ka sadqa den.