Spiritual Healing

Tiefayid Ke Asraat

Sawal   : mera chhota bhai jis ki Umar taqreeban 25 saal hai. Aaj se 5? Saal pehlay usay tie fayid hua tha. Tie fayid se pehlay is ki yeh haalat thi ke safai ke liye teen teen martaba haath dhota tha lekin phir bhi is ko safai ka yaqeen nahi aata tha. Tie fayid ke baad haalat yeh ho gayi hai ke agar haath dhoney baithta hai to kehta hai null kaisay band karoon. Agar koi samajhata hai to kehta hai ke tum ne darmain mein kyun dakhal diya. Lehaza mein haath dobarah pak karoon ga. Is terhan sirf haath dhoney mein 15 minute lag jatay hain. Agar beeet al khala mein jaye to kam az kam aik ghantay se pehlay bahar nahi nikalta. Agar bahar jana ho to kehta hai ke gate se bahar kaisay niklon ga. Ruk ruk kar kaafi der baad bahar nikalta hai. Agar koi cheez rakhnay ko ya uthany ke liye kaha jaye to kehta hai kaisay rakhon ya kaisay uthaoun. Kabhi yeh kehta hai ke acha mein dil mazboot kar ke utha leta hoon ya phir kehta hai ke nahi uthata khud utha lau, ammi is ko samajhtee hain to kabhi maan jata hai aur kabhi kehta hai ke kya karoon mein jaldi kaam karna chahta hon lekin hota nahi agar ammi is ki baton se naraaz ho jayen. To ronay lagta hai aur kehta hai ke ammi mein kya karoon karna chahtahon lekin hota nahi hai.


Jawab  : ghar mein Sooraj makhi ka poda laga len. Maali se kahin ke bara poda muntaqil kar day. Subah Sooraj niklny se pehlay bhai ko Sooraj makhi ke samnay bitha den aur is se kahin ke phool ki taraf daikhta rahay. Do ghantay taq yeh amal jari rakhay. Yeh koi pabandi nahi ke kursi ya charpayee par baithy, jaisay bhi aaraam miley woh do ghantay taq baith kar phool ko daikhta rahay. Ilaaj ki muddat do mah das din hai.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI