Spiritual Healing

Teesri Aankhh

Sawal   : muraqba mein dekha ke mere dimagh mein roshniyan bhari hui hain. Aik din dimagh ko halka sa jhatka laga aur roshni ki ro nikal kar samnay fiza mein gayab ho gayi. Dekha ke mere maathey par roshiniyon se bani hui aik aankhh hai. Kisi ne kaha ke yeh teesri aankhh hai. Sonay ke liye leyta to dekha ke meri nigehain deewar ke peechay dekh rahi hain. Mujhe drawing room mein rakhi hui maiz dikhayi di lekin aglay hi lamhay manzar nigahon se oojhal ho gaya. Aap se darkhwast yeh hai ke un kaifiyat ki roshni mein rahnumai se nawaziye aur yeh bhi bataiye ke yeh kefiyat khayaali thi ya waqai is ka koi wujood hai.


Jawab  : Allah taala ne quran pak mein farmaya hai ke hum ne aasman ko bruj se zeenat bakhsh aur chhupa liya usay har shetan mardood se, rohaniyat mein bruj ka matlab woh abadiyaan hain jo sayyaron aur dosray khekashani nizamon mein phaily hui hain. Rohaniyat hamein rahnumai faraham karti hai ke hum kis terhan Allah taala ki peda kardah un makhloqaat se muta-arif hon. Un ki tarz rahaish aur maeeshat ko dekhen aur is terhan khaaliq kaayenaat ki snaay o hikmat ko samajhney ki koshish karen. Jab koi shakhs la shaori waardaat o kaifiyat mein daakhil hota hai to jahan is par be shumaar baton ka inkishaaf hota hai un mein se aik aasmani aabadyon ka mushahida bhi hai. Jaisay jaisay aadmi apni salahiyaton se waaqif hota rehta hai ya is ki salahiyaton mein izafah hota rehta hai woh aur ziyada wazahat aur geherai se un baton ko samajhney lagta hai.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI