Spiritual Healing
Sawal : mein aik shadi shuda aurat
hon aur kayi bachon ki maa hon. Ibtidayi saloon mein shohar ne mujhe bharpoor
pyar diya. Meri asayish o aaraam ka har terhan se khayaal rakha. Lekin ab un ki
tavajja mujh se htti ja rahi hai. Aisa lagta hai ke woh meri soorat taq dekhna
gawara nahi karte. Raton ko der se ghar aana un ka mamool ban gaya hai. Ghar ke
kisi muamlay mein woh dilchaspi nahi letay. Kisi bemaar ke ilaaj se gharz hai
nah bachon ki taleem o tarbiyat se dilchaspi. Aakhir is ravayye ki kya wajah
hai ?
Jawab : gharelo sukoon ke liye
zurori hai ke miyan biwi mein zehni hum ahangi ho. Jis terhan biwi shohar se
iltifaat chahti hai is terhan shohar bhi chahta hai ke shareek hayaat is ki
fitri zaroriat ka khayaal rakhay. Yeh durust hai ke bachay ho jany ke baad
aurat khawand ki nisbat bachon ke sath ziyada waqt guzaarne par majaboor hai. Bachon
ki nighdasht aur dekh bhaal mein is ki sahet kisi nah kisi hadd taq mutasir
hoti hai. Is ke andar woh walwalah aur josh bhi nahi rehta jis ki khawand
tawaqqa karta hai. Lekin har zaheen biwi shohar aur bachon ke sath zindagi
guzaarne mein tawazun barqarar rakhti hai. Khat ka tajzia yeh zahir karta hai
ke aap ne apni saari tavajja bachon par markooz kar di hai aur aap ke shohar
aap ke is tarz amal ko napasand karte hain. Mera mahswara hai ke aap shohar ke
haqooq ka bhi khayaal rakhen. Baat be baat par larna jhagarna aur inhen baar
baar is baat ka ehsas dilana ke woh aap mein aur bachon mein dilchaspi nahi
letay. Sahih tarz amal nahi hai. Shohar ke haqooq poooray karen aur un ki
zehni, jismani zaroraton ka poora poora khayaal rakhen.