Spiritual Healing

Shohar Ne Ankhen Badal Leen

Sawal   : mere shohar bohat achay they. Mujhe chahtay bhi bohat they lekin jab se kkhuda ne mujhe maa banaya hai un ka rawayya mere sath pehlay jaissa nahi raha. Mein inhen is liye bura nahi kahoon gi ke yeh baat Shariat ke khilaaf hai. Maa ban'nay se pehlay shohar mera itna khayaal rakhtay they ke ghar ka sara kaam khud injaam dete they. Yahan taq ke mujhe khana pakka kar khelate they. Ab nahi maloom inhen kya ho gaya hai ke woh mera pehlay jaissa khayaal nahi rakhtay. Zara zara si baat par naraaz ho jatay hain. Halaank mujhe apne shohar se be panah mohabbat hai aur mein un ke liye apni jaan bhi qurbaan karne ko tayyar hon. Mein chahti hon ke mere shohar waisay hi ho jayen jaisay pehlay they.


Jawab  : sab kamon se farigh honay ke baad raat ko sonay se pehlay awwal o aakhir gayarah gayarah martaba duroood shareef ke sath so martaba
بِسْمِ اللّٰہِ اَلْوَاسِعُ جَلَّ جَلَالُہ parh kar baat kiye baghair bistar mein chali jayen. Ankhen band kar ke apne shohar ka tasawwur karte karte so jayen aur yeh tawaqqa apne zehan se nikaal den ke shohar aap ko khana pakka kar khilain. Danishwaron ka qoul hai ke khush zayega aur lazeez khana mard ki sab se barri kamzoree hai. Aap achay achay khanay pakka kar apne shohar ke samnay rakhen aur kabhi kabhi inhen apne haath se luqmay bana kar khilain. Is amal se mohabbat barhti hai.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI