Spiritual Healing

Purani Paichis


Sawal   : mein pichlle aik saal se pait ki bemari aur yarqaan ka shuka rahon. Sath mein purani paichis bhi hai. Ab haalat yeh hai ke kabhi kabhi pait mein bhaari pan aur jalan hoti hai. Asaab mein tanao, sir mein shadeed dard aur dimagh bhaari ho jata hai. Poooray badan aur haath paon mein soyyan chubhti hui mehsoos hoti hain. Marz ki shiddat hoti hai to fiza dhundli dikhayi deti hai. Har qisam ka ilaaj kara chuka hon aur ab bhi ilaaj jari hai lekin mustaqil faida nahi hua hai. Ajeeb baat yeh hai ke dekhnay mein tandrost nazar aata hon. Lekin un amraaz ne pareshan kar rakha hai koi amal tajweez frmayye jo mein ilaaj ke sath sath jari rakhon.


Jawab  : raat ko 11 martaba surah ikhlaas parh kar haath ke angothon par dam kijiyej aur aankhon par aik martaba phair lijiye. Seedha anghutha seedhi aankhh par aur ultay haath ka anghutha ulti aankhh par. Yeh amal sotay waqt chalees din taq kijiyej Insha Allah aap ki tehreer kardah shikaytein bohat jald rafa ho jayen gi.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI