Spiritual Healing
Sawal : pichlle chand mah se mere
sath gaahay gaahay jo sorat e haal paish aa rahi hai is ne mujhe heran o
shashdar kar diya hai. Aksar yeh hota hai ke mein tanhai mein leyta hon aur
kisi mauzo par soch raha hon. Yakayak koi ghair mutawaqqa aur ghair mamooli
khayaal zehan mein warid hota hai phir kuch din baad woh khayaal herat angaiz
tor par haqeeqat ka roop dhaar laita hai. Do misalein haazir khidmat hain. Aik din
yakayak khayaal aaya ke mujhe apne samnay walon se baat cheet band kar dainee
chahiye. Mein heran reh gaya ke yeh ajeeb o ghareeb khayaal mere zehan mein
kahan se aa gaya. Chand roz baad samnay walon ne kisi baat par kaha ke tum
aindah hum se baat nah karna aur is terhan hamari baat cheet band ho gayi. Pichlle
dinon mein ne aik factory mein mulazmat ke liye interview diya. Mujhe interview
mein kamyaab qarar dete hue dosray din kaam par anay ke liye kaha gaya. Jab mein
ghar aaya to letey hue achanak khayaal aaya ke kahin factory mein aag nah lag
jaye aur mein is aag mein nah phas jaoon. Yeh soch kar nah jaane kyun khauf ki
aik halki si lehar mere andar daud gayi. Phir bhi himmat kar ke aglay roz
factory chala gaya. Kaam karte hue thori der guzri thi ke achanak aag aag ka
shore utha aur mein jis hissa mein kaam kar raha tha woh hissa aag ki lapait
mein aa gaya. Aag bohat taiz thi. Mein himmat se kaam letay hue aag ke halqay
se bach niklny mein kamyaab ho gaya. Meri kashfi qowat mere liye zehni
inteshaar ka sabab ban gayi hai. Aik taraf yeh aik aisi salahiyat hai jo
lakhoon mein kisi ke paas hoti hai aur doosri taraf is se peda honay wali zehni
kashmakash mujhe sakht heran o pareshan rakhti hai. Aap se rahnumaiye ki
darkhwast hai.
Jawab : kitni ajeeb baat hai ke
woh salahiyat aur qowat jis ke liye log barson riyazat aur mashqen karte hain. Aap
ke andar qowat ki taraf se kisi mehnat o mushaqqat ke baghair beedar ho gayi
hai lekin wajah pareshani bani hui hai. Rohaniyat mein yeh baat ibtidayi qanoon
ki hesiyat rakhti hai ke agar shagird ki fikri aur zehni tarbiyat ke baghair is
ke andar salahiyat beedar kar di jaye to yeh salahiyat is ke liye sakht zehni
khlfshar ka sabab ban sakti hai. Baalfaz deegar aisi haalat mein Nemat zahmat
ka roop dhaar sakti hai yahi wajah hai ke kisi bhi marwai ilm ko seekhnay ke
liye kisi maahir ustaad ki nigrani zurori hoti hai aisa ustaad jo insani zehan
ki juzziyat ka zurori ilm rakhta ho.