Spiritual Healing

Neend Mein Jhatkay Lagna

Sawal   : saat saal se mein aik marz mein mubtala hon aur yeh marz kisi ki bhi samajh mein nahi aata. Marz yeh hai ke so kar jab uthti hon to mujhe jhatkay lagtay hain aur zordar cheekh nikalti hai. Haath paon akarr jatay hain. Zabaan danoton ke neechay aa kar kat jati hai. Dimagh mein jo baatein hoti hain woh bhool jati hon. Koi baat karta hai to samajh mein nahi aati, doray ke baad sardi lagti hai.


Jawab  : dawa ke sath sath chaltay phirtay, uthte baithtay, wuzu baghair wuzu Ya salam ka vird karti rahen. Sooraj ki tamazat khatam honay ke baad zawaal shuru hota hai to zameen ke andar se aik gas kharij hoti hai. Yeh gas is qader zahrili hoti hai ke aadmi ke oopar assar andaaz honay se qisam qisam ki bemariyan peda kar deti hai. Baaz auqaat dimaghi nizaam is hadd taq darham barham ho jata hai ke doray parney lagtay hain. Jab koi bandah zehni tor par yaksu ho kar Zahar ki namaz mein mashgool ho jata hai ke namaz ki noorani lehron is zeher naak gas se mehfooz rakhti hain. Aap Zahar ki namaz mein taweel sjday kya karen yani subhan rabbi al aala teen martaba kehnay ke bajaye gayarah martaba kaha karen.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI