Spiritual Healing
Sawal : mein har hafta colum
Rohani daak baqaidagi aur dilchaspi se parhta hon. Meri khwahish hai ke mein
bhi muraqba se faida uthaoun. Is ke liye mujhe aap ki rahnumaiye ki zaroorat
hai. Aap se guzarish hai ke muraqba karne ke liye jin lawazmaat, auqaat aur jin
cheezon ki zaroorat hoti hai un par roshni dalain.
Jawab : muraqba ke liye sab se
zurori cheez kisi ustaad ki rahnumaiye hai. Auqaat aur sharait ka taayun bhi
hatmi nahi kiya ja sakta. Aam usool ke mutabiq muraqba ka behtareen waqt raat
ko sonay se pehlay ya subah Sooraj niklny se pehlay hai. Muraqba aisi jagah
karna chahiye jo hawadaar ho aur jahan andhera ho. Nashist woh ikhtiyar ki jaye
jis mein jism mein takleef aur asaab mein khinchao nah ho. Muraqba late kar
nahi karna chahiye. Muraqba mein kya tasawwur kya jaye is ka taayun bhi aik
ustaad fun hi kar sakta hai. Tasawwur ke lehaaz se muraqba ki bohat si kasmain
ho jati hain. Maslan tasawwur ism zaat, tasawwur Sheikh , tasawwur rasool s.a.w
, tasawwur qalb, tasawwur latayef e sita roshiniyon ka muraqba, noor ka muraqba
waghera waghera. Aap ko muraqba karne ki ijazat hai, tasawwur karen ke aap apne
dil ke andar jhaank rahay hain, aur dil ke andar aik siyah nuqta hai jab yeh
nuqta nazron ke samnay aa jaye to ba zarea to ba zarea khat mutala karen.