Spiritual Healing

Marz Ka Ilaaj Shadi

Sawal   : mujhe doray parte hain jis ka mere maa baap ne bohat ilaaj karwaya hai. Meri dadi babon ke paas bhi le jati theen. Doctori, homyo pithi ka bhi ilaaj kara chuki hon. Ilaaj chay mah ka bataya tha lekin aik saal taq hota raha. Is bemari ki wajah se mein ne taleem bhi chore di. Arsay se mein ghar mein baithi hui hon, nah kahin akeli ja sakti hon, nah kisi parosi ke yahan ja sakti hon, nah kisi ke samnay baith sakti hon. Yeh bemari mujhe 15 saal se hai. Jab dora parta hai to shuru mein mujhe pata chalta hai lekin baad mein kya hota hai mujhe kuch maloom nahi hota, ghar walay batatay hain ke mein behosh ho jati hon aur agar khari hui hoti hon to gir jati hon. Kal rootti pakanay ke douran aisa hua jab mein bawarchi khanaay mein baithi hui thi baithy baithy gir gayi aur behosh ho gayi. Mein kanwari hon shuru se mera koi rishta bhi nahi aaya.


Jawab  : aap histeria ki mariza hain. Aap ko chahiye ke mahana nizaam ki kharabi aur kami ka ilaaj karwaen. Is marz ka ilaaj ho jaane ke baad doray nahi parrin ge. Aap ke liye yonani ilaaj mufeed rahay ga. Aik ilaaj yeh bhi hai ke aap ki shadi ho jaye.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI