Spiritual Healing
Sawal : Taqreeban 6 mah se baen
taang mein koolhay se le kar eirhi taq dard hota hai yeh dard is waqt hota hai
jab khara rahon ya kuch daur taq chaloon, taang sun ho jati hai aur is shiddat
se dard mehsoos hota hai ke chal nahi sakta. Khara bhi nahi hua jata. Is dard
ney mujhe majaboor aur be bas kar diya hai.
Jawab : yeh arq al-nisaa ka dard
hai is ke liye saaf o shafaaf harey rang ki sheeshi mein gardan taq khalis alsi
ka tail bhar kar aisi jagah rakh den jahan sara din dhoop rehti ho poooray 40
din raat sheeshi ko is jagah rehne den. Chalees roz ke baad sheeshi ko utha len
baal aa jayen ya barish aa jaye to yeh din chalees din mein shumaar nahi hongi.
Tail tayyar honay par mutasirah taang ke ghatney par maalish karen. Allah ne
chaha to aik hafta maalish ke baad kabhi phir dard nah ho ga.