Spiritual Healing

Khud Se Baatein Karna

Sawal   : mein apne aap se baatein karta rehta hon. Un baton mein kabhi kisi dosray farzi mukhatib se khitaab karta hon aur kabhi apna mukhatib khud hota hon. Baatein karte hue mahol ki khabar nahi rehti aur baad mein jab apni is harkat ki taraf khayaal jata hai to gussa aur jhunjlahat mein khud ko malamat karta hon. Har waqt apne aap ko yeh samajhata rehta hon ke mujhe apne aap se baatein nahi karni chahiye aur yeh pagal pan hai waghera waghera. Khud ko samgha kar itminan haasil ho jata hai lekin kuch der baad guftagu ka silsila dobarah shuru ho jata hai.


Jawab  : subah saweray aik aaiine ke samnay baith jayen jis mein aap apne saraapaa ko kam az kam seenay taq zaroor dekh saken. Ab aaiine mein apne aks ko mukhatib kar ke guftagu shuru kar dijiye. Qareeban pandrah minute taq aap apne aks se koi farzi ya jo bhi dil mein aeye baatein karte rahen. Is ke baad uth kar roz marrah ke kamon mein mashgool ho jayen. Pandrah din mein aap khud kalami ki mushkil se nijaat pa len ge. Yeh ilaaj parasycology ke aik usool ki bunyaad par Talqeen kya ja raha hai.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI