Spiritual Healing

Khoon Ki Kuliyan

Sawal   : hamari bhanji ki Umar das saal hai. Paanch saal pehlay is ki tabiyat kharab ho gayi thi. Subah se shaam taq mun se aur pishaab ke rastay musalsal khoon behta raha. Chaar saal ke baad wohi bemari Aud kar aayi lekin ab sirf mun se khoon aata hai aur khoon itna ziyada hota hai ke woh kaliyan bhar bhar kar thookti rehti hai. Is ke saaray jism par neelay neelay chakatay par jatay hain. Doctoron ki tashkhees yeh hai ke is bachi ko kisi ne zeher diya hai ya is ne koi zahrili cheez kha li hai. Doctoron ka yeh bhi khayaal hai ke usay tea bi ho gayi hai. Jab bhi hamari baji kisi hospital mein dikhaane ke liye jati hain to sab se pehlay dr yeh puchhte hain ke aap souteli maa to nahi hain. Hum bohat dukhi aur pareshan hain. Hum se apni bhanji aur baji ki yeh haalat dekhi nahi jati. Yeh baat aur arz kar dun ke mujhe yeh baat maloom hai ke Allah taala ke fazl o karam se aap ke zirsayh kayi insani jaanen bachi hain. Lillah hamein mayoos nah kijiyej ga.


Jawab  : dimagh, halaq, masoorho aur pehphron ke mutasir hojane se din ya raat ko sotay waqt mun mein khoon bhar jata hai. Ilaaj yeh hai ke umdah qisam ki roi le kar do phoyon par aik martaba

سم الله الرحمن الرحيم

سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الأَعْلَى. الَّذِي خَلَقَ فَسَوَّى. وَالَّذِي قَدَّرَ فَهَدَى. وَالَّذِي أَخْرَجَ الْمَرْعَى. فَجَعَلَهُ غُثَاءً أَحْوَى.

Parh kar dam karen aur aik aik phoya dono kaanon mein raat ko sotay waqt rakh den. Agli raat yeh phoyey nikaal kar dosray do phoyon par dam kar ke kaanon mein rakh den. Amal ki muddat saat roz hai. phoye jama kar ke bahtay pani ya kunwein mein daal den. Is ke ilawa puranay se purana, bohat purana taat talaash kar ke is ko jala len. Jab jal jaye is ko unglio se masal kar bareek powder bana len aur shehad mein mila kar subah shaam bachi ko chatayein. Sirf teen din. Teen din maadi ilaaj saat din Rohani ilaaj se yeh marz Insha Allah hamesha hamesha ke liye khatam ho jaye ga. Yeh baat zehan se nikaal di jaye ke bachi ko kisi ne zeher diya hai.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI