Spiritual Healing
Sawal : mein bzahir theek hon
lekin kamar mein halka sa dard hota hai. Ya koolhay ki haddi mein dard hota hai
aur kabhi ghatney ke oopar chubhan si hoti hai. Saaray jism mein khichao sa
mehsoos hota hai. Dr se check up karwaya to is ne kaha tha ke koi wazni cheez
aik dam uthany ki wajah se aisa hua hai. Is ne dawa ke sath yeh bhi kaha tha ke
seedhay farsh par sona, mein farsh par soti hon. Is ke ilawa agar mein apne
jism par dabao daloon to yun mehsoos hota hai jaisay mera jism kanp raha ho. Is
marz ko taqreeban chay saat mah ho gaye hain. Is ke bawajood mujhe aaraam nahi
aaya.
Jawab : surkh shu-aon ka tail,
kamar par dard ki jagah dairon mein maalish karen. Tail jism mein dard ke liye
aik akseeri dawa hai. Is tail ko dard ki jagah
raat ko sotay waqt aur din mein aik martaba dairon mein das das minute maalish
karen. Basa auqaat sirf aik martaba maalish karne se barson purana dard khatam
ho jata hai. Tail tayyar honay ke baad aasabi dard ke mareezon ko yeh tail muft
taqseem kya jaye. Kar bhala ho bhala.