Spiritual Healing
Sawal : mein jis kefiyat se dochar
hon woh kefiyat kuch yun hai ke jab mein ghair iraadi tor par ankhen band kar
ke dekhatii hon to mujhe ajeeb terhan ki cheeze nazar aati hain. Kabhi koi
imarat, kabhi insani hayola aur aksar barri barri aur roshan ankhen aur phir
yeh shakalain gayab ho jati hain. Lekin meri shiddat se yeh khwahish hoti hai
ke woh ankhen phir nazar ayen. Raat ko jab mein sonay ke liye litti hon aur
ankhen band karti hon to neend nahi aati, sir dard karne lagta hai. Isi kefiyat
mein agar neend aa jaye to aisa mehsoos hota hai jaisay mein tang andheray
ghaar se guzar rahi hon. Mera dam ghatney lagta hai. Nabz taiz chalne lagti
hai. Ankhen kholna chahti hon to thori si khulti hain lekin mein is kefiyat
mein rehti hon, cheekhna chahoon to cheekh nahi sakti. Poori qowat laga kar
uthna chahoon tawa th nahi sakti. Mujhe bataiye ke aisa kyun hai aur mein is se
kaisay nijaat haasil kar sakti hon ?
Jawab : ensaan ke gosht post ke
jism ke andar roshiniyon aur lehron se bana hua aik aur jism hota hai. Is jism
mein aik makhsoos miqdaar ki voltage gardish karti hai. Agar kisi wajah se
barqi ro ka yeh daur taiz ho jaye to aisay halaat bhi peda honay chahiye ke is
ro ki taizi shaori duniya mein kahin istemaal ho. Agar aisa nahi hota to asaab
par dabao parta hai aur is ki shikast o reekht bhi ho sakti hai. Yahi sorat e
haal aap ko darpaish hai. A seen ke tadaruk ke liye rozana raat ko 3 choharey
doodh mein bigho den. Bhigonay se pehlay un mein se ghutli nikaal den. Subah nehar
mun choharey kha len aur oopar se doodh pi len. Ghiza mein taiz namak aur
masalha daar ashya se parhaiz karen. Pandrah dinon mein aap ki haalat mamool
par aa jaye gi.