Spiritual Healing

Heroen

Sawal   : mera manjhla beta jis ki Umar taqreeban baaes saal hai kuch arsa pehlay taq bara naik tha aur farmanbardar tha. Sab ke liye is ke dil mein mohabbat thi. Magar ab buray larkoon ki sohbat ne usay bhi kharab kar diya hai, kisi ka kehna nahi maanta, yahan taq ke maa baap ke samjhane bujhanay se bhi is par kuch assar nahi hota. Narmi se sakhti se har terhan samgha ke dekh liya magar woh wohi karta hai jo chahta hai. Buray larkoon ki dosti ne is ko manshiat ki aadat mein mubtala kar diya hai. Ziyada mana karne aur samjhane se gussa ho jata hai. Cheekhnay chalanay lagta hai. Mrjane ki dhamki deta hai. Apne aap ko kosnay lagta hai. Pehlay is ki sahet achi thi magar ab kaafi gir yi hai. Do aik baar heroen peetay rangay hathon barray bhai ne pakra to kehnay laga mein aadi nahi hon. Bas yuhin dost ne pila di. Do chaar kash kabhi kabhar shoq mein laga laita hon. Is ke baad is ko nasha ke mohlik asraat betaye aur buray doston ki buri sohbat ke nataij se aagah kiya. Har terhan samjhaya. Narmi se bhi, pyar se bhi, sakhti se bhi aur daant dapat kar ke bhi gharz yeh ke jo bhi tareeqa samajh mein aaya. Isi terhan samjhaya magar woh kisi terhan nahi maanta. Ab to kaam kaaj mein bhi pehlay jaisi dilchaspi nahi laita. Dard mandana guzarish hai ke aap koi aisa Rohani ilaaj bitayen ke jis ki barket se mera beta naik rastay par wapas aa jaye aur pehlay ki terhan is ke dil mein ghar ke afraad ke liye pyar o mohabbat peda ho jaye. Tamam buri adateen chore day aur mein jis aziat naak pareshani mein mubtala hon. Is se mujhe sukoon naseeb ho.


Jawab  : raat ko jab aap ka beta gehri neend so jaye, 19 martaba surah لہب poori parh kar betay ka tasawwur kar ke dam diya karen. Chalees roz taq is ke sath sath nasha chhuranay ke hospital mein ilaaj karayen aur hospital se farigh honay ke baad kisi dosray shehar le jayen taakay doston ki sohbat se kam az kam teen mah taq bacha rahay. Hospital mein douran ilaaj is ke paas 24 ghantay ghar ka koi aadmi sath sath rahay. Hota yeh hai ke dost mizaaj pursi ke bahanay wahan aa kar nasha aawar cheez day jatay hain aur ilaaj poora nahi hota. No inch baara inch pakkay safaid sheeshay ke oopar neela rang paint kara ke, betay ko baar baar deikhein.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI