Spiritual Healing
khawab darasal looh mehfooz ka saya hai. Allah taala ne quran pak
mein irshad kya hai”hum ne har cheez ko jore jore banaya hai.' '
chunancha aik saya zameen ke oopar parta hai aur dosra saya is ke bil-muqabil
aasman par parta hai. Aadmi baydaari ki haalat mein zameen ke oopar saya ko
daikhta hai maslan aik makaan ka saya makaan ki soorat mein nazar aata hai. Aik
darakht ka saya darakht ki soorat mein nazar aata hai. Aik aadmi ka saya aadmi
ki soorat mein nazar aata hai waghera waghera. Lekin khawab mein bil-muqabil
saya ko woh aasman ki taraf daikhta hai. Aasman ke oopar se bilkul baydaari ki
terhan yahi saya nazar aata hai. Beedar honay ke baad yeh saya gayab ho jata
hai. Is liye ke yeh aasman par hota hai aur aasman nigah ki girift se bahar
hai. Hum jis ko aasman dekhna kehte hain yani yeh neela neela aasman jo hamein
nazar aata hai, aasman nahi hai balkay hadd nazar hai. Tasawuf ne ensaan ki
saakht ko teen hisson mein taqseem kya hai. Rooh Azam , rooh insani aur rooh
hewani, qalandar baba ne un tenu hisson ke istilahi naam nuskha mutlaq, nuskha
mufrad aur nuskha murakkab rakhay hain. Nuskha murakkab yani rooh hewani ko
hamzaad kehte hain. Hamzaad jab looh mehfooz ke saya ko zameen par daikhta hai
to usay baydaari aur jab is hi saya ko aasman par daikhta hai to khawab ka naam
diya jata hai. Hamzaad darasal roshiniyon se murakkab aik mukammal ensaan hai
jo gosht post ke jism ke oopar muheet hai.