Spiritual Healing
Sawal : mere marz ki shuruvaat
kuch is terhan se huien ke aaj se chaar paanch saal pehlay sardiyoon mein sirf
ghutnon par khujli hoti thi. khujaney se dana ho jata tha aur phir khud hi
theek ho jata tha lekin ab haalat yeh hai ke agar chehray par sir ke baal lag
jayen to bohat khujli hoti hai. Honton ke ird gird ka hissa thorhee taq kala ho
gaya hai jabkay bhawo ke ird gird ka hissa safaid hai. Koi zor se haath ya jism
ka koi hissa pakar le to bhi khujli ho jati hai aur khujaney se woh hissa kala
par jata hai is ke ilawa kaandhon, Eiriyon par baithi rahon to bhi yeh takleef
ho jati hai. Ab to yeh takleef kaandhon se barh kar neechay kamar taq aati ja
rahi hai.
Jawab : khaal ke teen parat hotay
hain agar khaal ke androoni teesray parat mein khoon ke andar zahreeley maday
sarayat kar jayen to yeh soorat waqay hoti hai. Khoon ke andar zahreeley maday
sarayat kar jayen to yeh soorat waqay hoti hai. Khoon ke andar zahreeley maday
kyun bantay hain aur un zahreeley madon ka qudrati ikhraj kyun nahi hota? Yeh aik
allag mauzo hai. Khawateen mein khoon ki kasafat ka bara dar-o-madar mahana
nizaam ke oopar se. Mahana nizaam ka baqaida parhaiz ke sath ilaaj karayen.