Spiritual Healing
Sawal : bi ae ka imthehaan dete hi
meri shadi ho gayi. Nateeja se qata nazar mere sasural walon ne yeh mashhoor
kar diya ke dulhan bi ae hai lekin mein do prchon mein feel ho gayi. Mere shohar
ne doctori paas ki hai aur bahar jany ka iradah rakhtay hain. Woh kehte hain ke
hum dono sath ja kar mazeed taleem haasil karen ge. Un sab baton ko dekhte hue
mujh mein yeh jurrat nahi hai ke mein apne shohar ko haqeeqat haal se bakhabar
kar sakun. Haqeeqat ke izhaar se azdawaji zindagi mutasir honay ka khadsha hai.
Jawab : haqeeqat haal ko kabhi
nahi chhupana chahiye. Aap poori soorat e haal shohar se mann o an bayan kar
dijiye aur keh dijiye ke ab taq mein baa-mushkil is boojh ko bardasht karti
rahi hon lekin ab yeh baar meri bardasht se bahar ho gaya hai. Aur mein ne aap
ko sahih sahih baat bta di hai. Dimagh ko halka karne ka yeh tareeqa bilkul
aasaan hai. Is ko uljan bananay ki zaroorat hi nahi thi agar aadmi koi ghalti
karta hai to foran ya jis waqt dimagh ziyada baar ko bardasht nah kar sakay
ghalti ka aitraaf karlena chahiye warna asaab kisi marz mein mubtala ho jatay
hain, bilkul mutmaen rﮦye. Is tarz amal se aap
ke shohar aur aap ke darmain kisi qisam ka ikhtilaaf peda nahi ho ga.