Spiritual Healing
Sawal : mein bohat se amraaz ka
shikaar hon. Mere andar khoon ki kami hai. Mein dosaron se kamzor hon, kam
santa hon, nazar mein zeaf hai aur yad dasht kamzor hai. Mere zehan mein fehash
khayalat ghumte rehtay hain jis ki wajah se sahet par Bura asar par raha hai
mein har waqt sahet achi bananay ki fikar mein rehta hon. Lekin kamyabi nahi
hoti agar koi bta day ke yeh cheez faida mand hai to woh cheez rozana istemaal
karta hon. Mein foot baal ka be hadd shoqeen hon aur bohat achi foot baal
kheltaa hon. Mein aik achay club ki numaindagi bhi karta hon. Chahta hon ke aik
behtareen khilari ban jaoon aur mulk o millat ka naam foot baal mein roshan
karoon.
Jawab : aap ke masail ki bunyadi
wajah khud itmadi ki kami hai. Adam aetmaad ne aap ke zehan mein be yakeeni ka
aik aisa jaal ban diya hai. Jis se aasabi toot phoot ziyada hoti hai aur yahi
aasabi dabao bimarion ka sabab ban gaya hai. Aap apni salahiyaton par aetmaad
karte hue is tareeqa par amal karen. Chay inch chorrie aur munasib lambi
naranji rang ki do pattiyan len aur inhen dono baazuon par lapait kar bandh
len. Sirf nahate hue pattiyan utarain baqi auqaat bandhay rahen. Do mah ke
andar aap ki takaleef ka azaala ho jaye ga.