Spiritual Healing
Sawal : mere aik Aziz jin ki Umar taqreeban
35 saal hai. Mulazmat ke silsilay mein Saudi arab gaye they. Chand mahino baad
un par faalij ka hamla hua aur shadeed bemari ki haalat mein inhen wapas laya
gaya. Har qisam ka ilaaj karwaya gaya lekin arsa 2 saal se un ke jism ka
baayaan hissa maflooj hai. Do mah qabal ilaaj ki gharz se Lahore gaye wahan
jism ka dayan hissa bhi maflooj ho gaya. Aaj kal woh Karachi mein hain. Ab un
ke jism ka dayan hissa kisi qader kaam karne laga hai lekin baayaan hissa
badastoor maflooj hai is ke sath sath arsa 2 saal se inhen doray bhi parte
hain. Jism akarr jata hai. Ankhen ubal padtee hain aur pyaaz snghane se afaqa
hota hai. Agar aap faalij aur doray ke liye ilaaj tajweez karen to hum hamesha
aap ke mamnon rahen ge.
Jawab : marz purana ho gaya hai
chunkay mareez ki dekh bhaal timardari aur ilaaj insani fareeza hai. Is se
mayoos kabhi nahi hona chahiye. Allah taala Raheem o kareem hai. Kabhi kabhi un
ki qudrat kamila se moujza ka zahuur bhi hojata hai. Saabit Lahori namak (
sheesha namak ) ki chokor dalian bana len. Namak ki un daaliyon ko pakkay
sheeshay ki aik barni mein bhar den. Aur gayarah din mein gayarah hazaar
martaba ( yani rozana aik hazaar baar )
بِسْمِ اللّٰہِ الرَّحْمٰنِ
الرَّحِیْمoاآرٰ تِلْکَ آیَاتُ الْکِتَابِ
الْمُبِیْنِoاَالرَّحِیْمُ اَلرَّحِیْمُ
الرَّحِیْمُ
parh kar namak ke oopar dam kar den. Aur mazboot dhakkan laga den. Sheeshay
ki yeh barni mareez ke sarahnay lakri ke ounchay stol par rakh den. Apne Aziz
se kahin ke iradah ke sath baar baar barni ke andar rakhay hue namak ko dekha
karen.