Spiritual Healing
Sawal : aik saal se meri behan
bemaar hai. Shuru mein usay bukhaar aana shuru sun-hwa. Phir is ke gaal surkh
ho gay. Ghar walon ne samgha ke bukhaar ki wajah se gaal surkh ho gay phir usay
ultian aana shuru ho gayeen. Tangon ki ragein khech gayeen aur woh chalne
phirnay ke qabil nahi rahi. Dr ne bataya ke kisi dawa ka ree action ho gaya
hai. Hospital mein do mahinay daakhil rahi aur theek ho gayi. Lekin thoray
dinon ke baad phir bemaar ho gayi. Sirf gaal surkh hotay they lekin is ke baad
poooray jism par danay nikal aeye jo ab kalay daagh ki shakal mein baqi reh gay
hain. Tashkhees hui to pata chala ke jald ki koi bemari lag gayi hai. Baazu par
se khaal kaat ke jald ke surgeon ko test karanay ke liye bhaije gayi. Lekin report
bilkul theek thi. Ab phir is ki tabiyat kharab ho gayi hai. Kamar mein se gosht
kaat kar test karaya to report aayi ke is bemari ko koi ilaaj nahi hai. Hum sab
ghar walay pareshan hain. Kkhuda ke liye koi dua aisi bataiye ke hamari
mushkilaat hal ho jayen. Doctoron ne Jawab day diya hai. Lekin phir bhi hum kkhuda ki
zaat se na umeed nahi hain. Yeh baat hamaray ilm mein hai ke aap ke mashwaron
se barray barray paicheeda amraaz theek ho gay hain. Behan ko khanay se shadeed
nafrat ho gayi hai. Doodh ka cupp samnay aata hai to qay ho jati hai. Gosht pkta
hai to kehti hai ke badboo aa rahi hai. Lillah aisi tadbeer kijiyej ke khana
khanay lagey taa ke kamzor y nah barhay.
Jawab : saat rang ke reshmi
kapray ke chhootey chhootey tukre bachi ke samnay phela kar rakh den. Bachi se
kahin ke un tukron mein se jo tukda usay khobsorat aur acha lagey utha le. Reshmi
kapray ke is rangeen tukre par charon kono par chaar setaaray banayen aur
darmain mein
بسم اللّٰ الرحمٰن الرحیم
یَا رَحِیْمُ یَا اللّٰہُ یَا
مُرِیْدُ یَا رَحِیْمُ یَا اللّٰہُ
یَا مُرِیْدُ یَا رَحِیْمُ یَا
اللّٰہُ یَا مُرِیْدُ
یَابَدِیْعَ الْعَجَاءِب
بِالْخَیْرِ یَابَدِیْعُ
یَا مَھْلَاءِیل یَا ثَمْنَاءِیل
یَامِیْکَاءِیل یَاجِبْرَاءِیْل
kasheeda kaari se likh kar is kapray ko frame kara len. Aur frame
ko maiz par aisi jagah rakh den jahan bachi ki baar baar nazar padtee rahay. Jis
taar se kasheeda kaari karen woh chandi ke rang ka hona chahiye. Khaano mein
fridge mein rakhi hui cheeze, taiz namak mirch ki cheezon aur baadi, baasi
cheezon se parhaiz zurori hai. Ilaaj shuru karne se pehlay paanch rupay pachees
pesey kisi ghareeb ko khairaat kar den.