Spiritual Healing
Sawal : aaj se taqreeban 4 saal
pehlay mere dada ne aankhh ka operation karwaya tha. Aankhh ka operation to
kamyaab raha magar tab se ab taq woh kaan ke dard ki shadeed takleef mein
mubtala dard ki noiyat kuch is qisam ki hoti hai ke kaan mein tees uthti hai. Aur
phir yeh tees kanpatti aur adhay sir mein phail jati hai kuch khanay ke liye
mun taq nahi khol satke. Do teen din taq aisa hota hai phir khud bakhud do teen
din aaraam rehta hai. Shuru mein to sahet achi thi is liye dard bardasht kar
liya, magar ab burhapay aur kamzoree ke baais saari raat jaag kar guzartay
hain. Is chaar saal ke arsay mein be shumaar doctoron ka ilaaj ho chuka hai. Ilaaj
ke douran takleef mein kuch kami hoti hai magar takleef dobarah shuru ho jati
hai. Ab aap ki khidmat mein haazir hue hain.
Jawab : rang o roshani se ilaaj
ke zareya par subah shaam niilii shu-aon ka pani aur dono waqt khanay se qabal
naranji shu-aon ka pani 2, 2 oons aik mah taq pilain.