Spiritual Healing

Chehray Par Danay

Sawal   : mera masla bzahir aam sa maloom hota hai magar mere liye aik bara hi paicheeda masla hai. Kahin aana jana to drknar ghar mein bhi logon se baat karte hue sharam aati hai aur sara din sir par chadar lapete rehti hon taa ke mera chehra chadar se dhakka rahay. Is ki wajah yeh hai ke das saal se mere chehray par mahasay nikaltay hain. Mein ne hakeemi, doctori, homyo pithk sab ilaaj karliya hai. Mere chehray par bareek bareek sorakh ho gay hain. Jo kaafi badnuma lagtay hain. Jab yeh danay nikaltay hain to shuru mein surkh dhabba namodaar hota hai jo do chaar din mein danay ki shakal ikhtiyar kar laita hai. Jis ka koi mun nahi hota. Is ko dabanay se mawaad aur khoon nikalta hai jo baad mein apna nishaan chore jata hai jis mein shadeed takleef hoti hai. Aakhir yeh konsi bemari hai ke ilaaj se faida nahi hota.


Jawab  : chehray par se danay khatam nah honay ki wajah yeh maloom hoti hai ke aap daano ko phore deti hain aur is terhan chehray par daagh aur sorakh ban jatay hain. Ab taq jo daagh dhabbay par chuke hain. Is ka ilaaj koi nahi hai Albata aindah agar aap daano ko unglio se daba kar phorna chore den to chehray par mazeed daagh nahi parrin ge. Raat ko saat danay unaab pani mein bigho den. Subah nehar mun Sooraj tulu honay se qabal unaab nichor kar pani pi len aur phuk pheink den. Yeh ilaaj chalees roz taq karen. Chehray par danay niklana band ho jayen ge. Sardi agar ho to pani ko halka name garam kar len. Surkh mirch, garam masalha, anday aur gosht se chalees roz taq parhaiz rakhen. Sirf dalain aur tarkariyan khayen.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI