Spiritual Healing
Jawab : Allah taala ki rehmat se kabhi mayoos nahi
hona chahiye. Is liye ke Allah taala Qadir mutlaq hain. Woh jab chahain aur jo
chahain karne par poori qudrat rakhtay hain. Aap ke liye ilaaj tajweez kya ja
raha hai. Yaqeen aur dil-jami ke sath is par amal karen. Aik pao Kalonji (
kalay beej jo achaar mein daaley jatay hain ) pani se dho kar dhoop mein sikha
len aur khulay mun ki niilii sheeshi mein bhar ko mazboot kaark laga den. Oopar
se aik chothai sheeshi khaali rehni chahiye. Raat ko sonay se pehlay wuzu kar
ke so martaba
اقْرا باسْم ربک الذیْ خلقoخلق الْانْسان منْ علْقٍo
parh kar Kalonji par dam kar ke sheeshi mein band kar den. Yeh sheeshi
subah dhoop mein aisi jagah rakh den jahan sara din dhoop rehti ho. Raat ko
utha kar phir so martaba amal kar ke is par dam kar den aur aglay roz subah
phir dhoop mein rakh den. Isi terhan yeh amal chalees roz taq dohrayen. Amal poora
honay ke baad aik chuttki kalvongi subah nehar mun pani se nigal liya karen. Jab
taq yeh kalvongi khatam nah ho is amal ko jari rakhen. Aik pao kalvongi khatam
honay taq amal ko jari rakhen. Aik pao kalvongi khatam honay se pehlay pehlay inshallah aap “umeed” se ho jayen gi. Dua hai Allah
taala aap ko gole matol, khobsorat, hanstaa kheltaa beta ataa karen. Ameeen