Spiritual Healing

Aqeedah Ki Kharabi

Sawal   : jis baat se mein bohat tang hon woh mera paragandah zehan hai. Mein islam ke usoolon ki bohat paband thi. Aaj se teen saal pehlay jab meri Umar pandrah saal thi, raat ke waqt ibadat kya karti thi. Aahista aahista Allah taala ke baray mein mujhe ajeeb o ghareeb khayalat anay lagey ( kkhuda mujhe maaf kere ). Mein sochti hon ke Allah mard hai aur mein aurat hon aur sochte sochte nah jany kahan poanch jati hon. Mujhe to likhte hue bhi sharam aati hai. Mein ne kayi baar khud kashi ke mutaliq socha magar phir khayaal aaya ke mujhe apne khayalat par qaboo nahi hai. Is ka ilaaj karwana chahiye. Is ke ilawa mujhe apni walida se bhi nafrat hai. Un ki taraf se mera dil mela ho chuka hai. Dil har waqt bujha bujha rehta hai. Kisi cheez mein dil nahi lagta. Mein apni zindagi behtar banana chahti hon. Khudaaraa mujhe koi hal bataiye. Mein ne aap ko apna samajh kar yeh sab kuch likha hai. Walida sahibaa se nafrat karne ki wajah yeh hai ke un ki Umar chalees saal hai, das saal se bewa hain, is ke bawajood jab koi mard un se muskura kar baat karta hai to woh samjhti hain ke woh un ke oopar aashiq ho gaya hai. Maa ke is ravayye se mujhe barri kofat hoti hai.


Jawab  : aqeedah jab kharab ho jata hai to ensaan ke dimagh mein aisay was wasay aur khayalat anay lagtay hain. Jin mein kkhuda, rasool aur mazhab se bezari be ikhtiyaari hoti hai. Aqeday ki kharabi aur zameer ki malamat se nazar nah anay wala aik mutaffan phora is ke batin mein peda ho jata hai jis ki wajah se woh itna be chain rehta hai ke is ki misaal barri se barri bemari mein bhi nahi millti. Allah taala hum sab ko apne hifz o Amaan mein rakhay. Is takleef da kefiyat se nijaat panay ke liye kore ya dhullay hue khdr ya lthe ka aik karta silwaya jaye. Yeh karta saaray jism par aik aik balisht zayed ho aur takhnon taq neecha ho. Aasteenein bhi aik aik balisht khuli hui hon.Kisi aisay kamray mein jahan andhera ho ( andhera nah ho to kar liya jaye ) yeh karta pehan kar pandrah minute tehaliye aur teheltay waqt

الحمدللّٰہ رب العالمینoالرحمن الرحیمoمالک یوم الدین o

Parhti rahiye. Pandrah minute ke baad andheray mein karta utaar kar teh kar ke isi kamray mein kisi mehfooz jagah par rakh den. Jab taq aqeedah durust nah ho is waqt taq yeh amal kya jaye. Sirf andhera shart hai.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI