Spiritual Healing
Sawal : mujhe amliyaat waghera ka
bohat shoq hai. Kayi aamlon se istifada karne ki koshish ki aur kayi amal kiye
lekin kamyabi nahi hui.
Shayad Amel log bukhal se kaam letay hain aur sahih amal nahi batatay, saari
mehnat akart ho jati hai. Aap mujhe hamzaad tabay karne ka amal bta den. Neez moklon
ko qaboo karne ka amal bta den. Neez moklon ko qaboo karne ki kya tarkeeb hai ?
Jawab : aap ka shoq apni jagah
lekin pehlay yeh bitayen ke aap yeh sab kuch kyun karna chahtay hain? Mehez shoq
ki bunyaad par a seen terhan ke amal ko parhna ya karna aur hamzaad, mokl ko
apne qaboo aur tabay karne ki koshish karna aap ke liye kamyabi ke bajaye be
shumaar mushkilaat aur musibaton ka paish khaima saabit ho sakti hai. Mera aap
jaisay tamam doston ko mahswara hai ke bila waja mehez shoq ki bunyaad par woh
bhi kisi Amel ki nigrani ke baghair is terhan amliyaat hargiz nah karen. Jis se
hamzaad moklon ka qaboo mein aa kar tabay hona mumkin ho. Is ke bajaye aisay
kamon aur aisay mashaghil ki taraf tavajja den jo aap ke liye musarrat aur
Khushgawar kamyabi ka baais ho. Hamzaad aur mokl Allah ki makhlooq hai. Khuwa makhuwa
kisi ki azaadi ko slb kar ke ghulam bana lena bara jurm hai. Farz kijiyej agar
koi sahib aap ki azad zindagi ke azad khayalat o tasawurat aur aamaal ko aap se
chean kar aap ko apna ghulam banalen. Ya is ki koshish karen to is waqt aap ki
raye aur aap ka amal is shakhs ke baray mein kya ho ga? Isi baat ko apne zehan
mein rakhen aur bila waja is terhan ke amliyaat se khud ko baz rakhen. Yahi aap
ke haq mein behtar hai.